sharbat-e-deed nigaahon ko pilaane aaye
aur bigdi hui qismat ko banaane aaye
chaand taare bhi yahan ban ke deewane aaye
teri rahmat ke samandar mein nahaane aaye
rashk karte hain jinhe dekh ke jaam-o-meena
mast nazaron se wahi jaam pilaane aaye
tere deedaar se aankhon ko sukoon milta hai
khud se kar-kar ke kai baar bahaane aaye
teri nisbat se zamaane kii khushi haasil hai
mere haathon mein to anmol khazaane aaye
शर्बत-ए-दीद निगाहों को पिलाने आए
और बिगड़ी हुई क़िस्मत को बनाने आए
चाँद तारे भी यहाँ बन के दिवाने आए
तेरी रहमत के समन्दर में नहाने आए
रश्क करते हैं जिन्हे देख के जाम-ओ-मीना
मस्त नज़रों से वही जाम पिलाने आए
तेरे दीदार से आँखों को सुकूँ मिलता है
ख़ुद से कर-कर के कई बार बहाने आए
तेरी निस्बत से ज़माने की ख़ुशी हासिल है
मेरे हाथों में तो अनमोल ख़ज़ाने आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA
our suggestion based on SALIM RAZA REWA
As you were reading Nature Shayari Shayari