zindagi se maat khaakar so gaye
vo charaagh-e-jaan bujha kar so gaye
dhoop ka bistar lagaakar so gaye
chaanv sirhaane dabaakar so gaye
guftagoo kii dil mein khwaahish thi magar
vo mere khwaabon mein aakar so gaye
tang thi chadar to hamne yun kiya
paanv seene se lagaakar so gaye
unki neendon par nichhawar mere khwaab
jo zamaane ko jagaakar so gaye
be-kasi mein aur kya karte raza
khud ko hi samjha-bujha kar so gaye
ज़िंदगी से मात खाकर सो गए
वो चराग़-ए-जाँ बुझा कर सो गए
धूप का बिस्तर लगाकर सो गए
छाँव सिरहाने दबाकर सो गए
गुफ़्तगू की दिल में ख़्वाहिश थी मगर
वो मेरे ख़्वाबों में आकर सो गए
तंग थी चादर तो हमने यूँ किया
पाँव सीने से लगाकर सो गए
उनकी नींदों पर निछावर मेरे ख़्वाब
जो ज़माने को जगाकर सो गए
बे-कसी में और क्या करते रज़ा
ख़ुद को ही समझा-बुझा कर सो गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA
our suggestion based on SALIM RAZA REWA
As you were reading Dhoop Shayari Shayari