kabhi hote na roshan shehar jugnoo ke ujaale se
nasha chadhta nahin saaqi faqat yaa ek pyaale se
fanse hain zindagi ki kashmakash mein is-qadar ham yaa
ki jaise fans ke rah jaati hai makdi apne jaale se
uthaana gar saral hota ye maktab ka bojh
nazar aate na saare din yahan ham dhile-dhaale se
mayassar hoti nain ab yaa mukammal neend hamko so
pade hain aankhon ke neeche ye ghere kaale kaale se
paseena ban gaya har ek qatra khoon ka sandy
so ab rishta nahin hai khun kisi bhi gehre chaale se
कभी होते न रोशन शहर जुगनू के उजाले से
नशा चढ़ता नहीं साक़ी फ़क़त याँ एक प्याले से
फँसे हैं ज़िंदगी की कश्मकश में इस-क़दर हम याँ
कि जैसे फँस के रह जाती है मकड़ी अपने जाले से
उठाना गर सरल होता ये ज़िम्मेदारियों का बोझ
नज़र आते न सारे दिन यहाँ हम ढीले-ढाले से
मयस्सर होती नइँ अब याँ मुकम्मल नींद हमको सो
पड़े हैं आँखों के नीचे ये घेरे काले काले से
पसीना बन गया हर एक क़तरा ख़ून का 'सैंडी'
सो अब रिसता नहीं है ख़ूँ किसी भी गहरे छाले से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sandeep dabral 'sendy'
our suggestion based on Sandeep dabral 'sendy'
As you were reading Life Shayari Shayari