pehle alam ke vaaste jhoothi hasi ijaad ki | पहले अलम के वास्ते झूठी हँसी ईजाद की - Sandeep dabral 'sendy'

pehle alam ke vaaste jhoothi hasi ijaad ki
phir qalb bahaalne ke khaatir shaayri ijaad ki

marna pada ik nain hazaaron martaba yaa jeete jee
aakhir mein tab jaake yahan ye khud-kushi ijaad ki

is khal jahaan mein chaar behnon ne ganwaakar apni jaan
tab jaake ik bhaai ki phir yaa zindagi ijaad ki

hota dikhaava sirf kuch hi roz ka mehmaan so
taoumr rahne waali phir yah saadgi ijaad ki

itra na le koi yahan beshee pe apni isliye
khaaliq ne sab mein kuch na kuch naazuk kami ijaad ki

pathra ke aankhon ki yahan beenaai ho jaaye na khatm
so raushni ke vaaste inmein nami ijaad ki

talwaar ke sar har dafa aaye na yaa ilzaam so
aaghaat karne ke liye tanaakashi ijaad ki

पहले अलम के वास्ते झूठी हँसी ईजाद की
फिर क़ल्ब बहलाने के ख़ातिर शाइरी ईजाद की

मरना पड़ा इक नइँ हज़ारों मर्तबा याँ जीते जी
आख़िर में तब जाके यहाँ ये ख़ुद-कुशी ईजाद की

इस ख़ल जहाँ में चार बहनों ने गँवाकर अपनी जाँ
तब जाके इक भाई की फिर याँ ज़िंदगी ईजाद की

होता दिखावा सिर्फ़ कुछ ही रोज़ का मेहमान, सो
ताउम्र रहने वाली फिर यह सादगी ईजाद की

इतरा न ले कोई यहाँ बेशी पे अपनी इसलिए
ख़ालिक़ ने सब में कुछ न कुछ नाज़ुक कमी ईजाद की

पथरा के आँखों की यहाँ बीनाई हो जाए न ख़त्म
सो रौशनी के वास्ते इनमें नमी ईजाद की

तलवार के सर हर दफ़ा आए न याँ इल्ज़ाम सो
आघात करने के लिए तानाकशी ईजाद की

- Sandeep dabral 'sendy'
0 Likes

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sandeep dabral 'sendy'

As you were reading Shayari by Sandeep dabral 'sendy'

Similar Writers

our suggestion based on Sandeep dabral 'sendy'

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari