umr bhar ka faasla ab umr bhar tarasaayega
raasta ummeed ka pal pal hamein tadpaayega
is tamannaa mein guzar jaayegi meri zindagi
vo musaafir ik na ik din lautkar ke aayega
ye fislati ret karti hai ishaara dosto
maut ke din dono haathon mein na kuchh rah jaayega
be rehm baarish ke dar se tum kabhi rukna nahin
kyunki tum hi ruk gaye to kaarwaan ruk jaayega
phool se hamko mili hai bewafaai umr bhar
isliye kaanta hi dil ko ab hamesha bhaayega
main nashe mein dhut hui hoon do nasheeli aankhon ke
jaam bottle aur saaghar ab asar kya laayega
उम्र भर का फासला अब उम्र भर तरसाएगा
रास्ता उम्मीद का पल पल हमें तड़पाएगा
इस तमन्ना में गुजर जाएगी मेरी ज़िन्दगी
वो मुसाफ़िर इक न इक दिन लौटकर के आएगा
ये फिसलती रेत करती है इशारा दोस्तो
मौत के दिन दोनों हाथों में न कुछ रह जाएगा
बे रहम बारिश के डर से तुम कभी रुकना नहीं
क्यूंकि तुम ही रुक गए तो कारवाँ रुक जाएगा
फूल से हमको मिली है बेवफ़ाई उम्र भर
इसलिए काँटा ही दिल को अब हमेशा भाएगा
मैं नशे में धुत हुई हूँ दो नशीली आँखों के
जाम बोतल और साग़र अब असर क्या लाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sanskriti Shree
our suggestion based on Sanskriti Shree
As you were reading Nature Shayari Shayari