kise khabar thi ki is ko bhi toot jaana tha | किसे ख़बर थी कि इस को भी टूट जाना था

  - Sarfraz Nawaz

kise khabar thi ki is ko bhi toot jaana tha
hamaara aap se rishta bahut puraana tha

ham apne shehar se ho kar udaas aaye the
tumhaare shehar se ho kar udaas jaana tha

sada lagaaee magar koi bhi nahin palta
har ek shakhs na jaane kahaan ravana tha

yun chup hua ki phir aankhen hi dabdaba uthhiin
na jaane us ko abhi aur kya bataana tha

kise padi thi mera haal poochta mujh se
mujhe to rasm nibhaani thi muskurana tha

bhank na jaane ye kaise lagi hawaon ko
ki mujh ko raahguzar par diya jalana tha

chhupi thi is mein hi tamheed bhi judaai ki
hamaara aap se milna to ik bahaana tha

tujhe khabar hi nahin mere jeetne waale
tire liye to hamesha hi haar jaana tha

nigaah-e-shauq se yun gair ko tira takna
nawaaz aur nahin kuchh mujhe sataana tha

किसे ख़बर थी कि इस को भी टूट जाना था
हमारा आप से रिश्ता बहुत पुराना था

हम अपने शहर से हो कर उदास आए थे
तुम्हारे शहर से हो कर उदास जाना था

सदा लगाई मगर कोई भी नहीं पल्टा
हर एक शख़्स न जाने कहाँ रवाना था

यूँ चुप हुआ कि फिर आँखें ही डबडबा उट्ठीं
न जाने उस को अभी और क्या बताना था

किसे पड़ी थी मिरा हाल पूछता मुझ से
मुझे तो रस्म निभानी थी मुस्कुराना था

भनक न जाने ये कैसे लगी हवाओं को
कि मुझ को राहगुज़र पर दिया जलाना था

छुपी थी इस में ही तम्हीद भी जुदाई की
हमारा आप से मिलना तो इक बहाना था

तुझे ख़बर ही नहीं मेरे जीतने वाले
तिरे लिए तो हमेशा ही हार जाना था

निगाह-ए-शौक़ से यूँ ग़ैर को तिरा तकना
'नवाज़' और नहीं कुछ मुझे सताना था

  - Sarfraz Nawaz

Hijr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sarfraz Nawaz

As you were reading Shayari by Sarfraz Nawaz

Similar Writers

our suggestion based on Sarfraz Nawaz

Similar Moods

As you were reading Hijr Shayari Shayari