jaane kyun main dil de baitha | जाने क्यों मैं दिल दे बैठा

  - Adnan Ali SHAGAF

jaane kyun main dil de baitha
sar par ye mushkil le baitha

meri ismein khata hi kya hai
dil hi dil ko dil de baitha

shehar mein jiske dil nain lagta
us shahri ko dil de baitha

safar ko jaari rakha hua hai
hoga vo manzil pe baitha

uske pahluu se ja lage sab
main behad mushkil se baitha

apni mintaq jhaad raha hai
paas vo ik jaahil ke baitha

apni hasrat baha raha hai
dekh shagaf saahil pe baitha

जाने क्यों मैं दिल दे बैठा
सर पर ये मुश्किल ले बैठा

मेरी इसमें ख़ता ही क्या है
दिल ही दिल को दिल दे बैठा

शहर में जिसके दिल नइँ लगता
उस शहरी को दिल दे बैठा

सफ़र को जारी रखा हुआ है
होगा वो मंज़िल पे बैठा

उसके पहलू से जा लगे सब
मैं बेहद मुश्किल से बैठा

अपनी मिन्तक़ झाड़ रहा है
पास वो इक जाहिल के बैठा

अपनी हसरत बहा रहा है
देख "शगफ़" साहिल पे बैठा

  - Adnan Ali SHAGAF

Greed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Adnan Ali SHAGAF

As you were reading Shayari by Adnan Ali SHAGAF

Similar Writers

our suggestion based on Adnan Ali SHAGAF

Similar Moods

As you were reading Greed Shayari Shayari