ab tiri yaad se vehshat nahin hoti mujh ko | अब तिरी याद से वहशत नहीं होती मुझ को - Shahid Zaqi

ab tiri yaad se vehshat nahin hoti mujh ko
zakham khulte hain aziyyat nahin hoti mujh ko

ab koi aaye chala jaaye main khush rehta hoon
ab kisi shakhs ki aadat nahin hoti mujh ko

aisa badla hoon tire shehar ka paani pee kar
jhooth boluun to nadaamat nahin hoti mujh ko

hai amaanat mein khayaanat so kisi ki khaatir
koi marta hai to hairat nahin hoti mujh ko

tu jo badle tiri tasveer badal jaati hai
rang bharne mein suhoolat nahin hoti mujh ko

akshar auqaat main ta'beer bata deta hoon
baaz auqaat ijaazat nahin hoti mujh ko

itna masroof hoon jeene ki havas mein shaahid
saans lene ki bhi furqat nahin hoti mujh ko

अब तिरी याद से वहशत नहीं होती मुझ को
ज़ख़्म खुलते हैं अज़िय्यत नहीं होती मुझ को

अब कोई आए चला जाए मैं ख़ुश रहता हूँ
अब किसी शख़्स की आदत नहीं होती मुझ को

ऐसा बदला हूँ तिरे शहर का पानी पी कर
झूट बोलूँ तो नदामत नहीं होती मुझ को

है अमानत में ख़यानत सो किसी की ख़ातिर
कोई मरता है तो हैरत नहीं होती मुझ को

तू जो बदले तिरी तस्वीर बदल जाती है
रंग भरने में सुहूलत नहीं होती मुझ को

अक्सर औक़ात मैं ता'बीर बता देता हूँ
बाज़ औक़ात इजाज़त नहीं होती मुझ को

इतना मसरूफ़ हूँ जीने की हवस में 'शाहिद'
साँस लेने की भी फ़ुर्सत नहीं होती मुझ को

- Shahid Zaqi
5 Likes

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shahid Zaqi

As you were reading Shayari by Shahid Zaqi

Similar Writers

our suggestion based on Shahid Zaqi

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari