yun to nahin ki pehle sahaare banaaye the
dariya bana ke us ne kinaare banaaye the
kooze banaane waale ko ujlat ajeeb thi
poore nahin banaaye the saare banaaye the
ab ishrat-o-nashaat ka samaan hoon to hoon
ham ne to deep khauf ke maare banaaye the
di hai usi ne pyaas bujhaane ko aag bhi
paani se jis ne jism hamaare banaaye the
phir yun hua ki us ki zabaan kaat di gai
vo jis ne guftugoo ke ishaare banaaye the
sehra pe baadlon ka hunar khul nahin saka
qatre banaaye the ki sharaare banaaye the
shaahid khafa tha kaatib-e-taqdeer is liye
ham ne zameen pe apne sitaare banaaye the
यूँ तो नहीं कि पहले सहारे बनाए थे
दरिया बना के उस ने किनारे बनाए थे
कूज़े बनाने वाले को उजलत अजीब थी
पूरे नहीं बनाए थे सारे बनाए थे
अब इशरत-ओ-नशात का सामान हूँ तो हूँ
हम ने तो दीप ख़ौफ़ के मारे बनाए थे
दी है उसी ने प्यास बुझाने को आग भी
पानी से जिस ने जिस्म हमारे बनाए थे
फिर यूँ हुआ कि उस की ज़बाँ काट दी गई
वो जिस ने गुफ़्तुगू के इशारे बनाए थे
सहरा पे बादलों का हुनर खुल नहीं सका
क़तरे बनाए थे कि शरारे बनाए थे
'शाहिद' ख़फ़ा था कातिब-ए-तक़दीर इस लिए
हम ने ज़मीं पे अपने सितारे बनाए थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shahid Zaki
our suggestion based on Shahid Zaki
As you were reading Khafa Shayari Shayari