ashk peene ke liye khaak udaane ke liye | अश्क पीने के लिए ख़ाक उड़ाने के लिए - Shakeel Jamali

ashk peene ke liye khaak udaane ke liye
ab mere paas khazana hai lutaane ke liye

aisi daf'a na laga jis mein zamaanat mil jaaye
mere kirdaar ko chun apne nishaane ke liye

kin zameenon pe utaaroge ab imdaad ka qahar
kaun sa shehar ujaadoge basaane ke liye

main ne haathon se bujhaai hai dahakti hui aag
apne bacche ke khilone ko bachaane ke liye

ho gai hai meri ujadi hui duniya aabaad
main use dhoondh raha hoon ye bataane ke liye

nafratein bechne waalon ki bhi majboori hai
maal to chahiye dookaan chalaane ke liye

jee to kehta hai ki bistar se na utaroon kai roz
ghar mein samaan to ho baith ke khaane ke liye

अश्क पीने के लिए ख़ाक उड़ाने के लिए
अब मिरे पास ख़ज़ाना है लुटाने के लिए

ऐसी दफ़अ' न लगा जिस में ज़मानत मिल जाए
मेरे किरदार को चुन अपने निशाने के लिए

किन ज़मीनों पे उतारोगे अब इमदाद का क़हर
कौन सा शहर उजाड़ोगे बसाने के लिए

मैं ने हाथों से बुझाई है दहकती हुई आग
अपने बच्चे के खिलौने को बचाने के लिए

हो गई है मिरी उजड़ी हुई दुनिया आबाद
मैं उसे ढूँढ रहा हूँ ये बताने के लिए

नफ़रतें बेचने वालों की भी मजबूरी है
माल तो चाहिए दूकान चलाने के लिए

जी तो कहता है कि बिस्तर से न उतरूँ कई रोज़
घर में सामान तो हो बैठ के खाने के लिए

- Shakeel Jamali
2 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shakeel Jamali

As you were reading Shayari by Shakeel Jamali

Similar Writers

our suggestion based on Shakeel Jamali

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari