guzar raha hai vo lamha to yaad aaya hai | गुज़र रहा है वो लम्हा तो याद आया है - Shariq Kaifi

guzar raha hai vo lamha to yaad aaya hai
us ek pal se kabhi kitna khauf khaaya hai

usi nigaah ne aankhon ko kar diya patthar
usi nigaah mein sab kuch nazar bhi aaya hai

ye tanj yun bhi hai ik imtihaan mere liye
tire labon se koi aur muskuraya hai

bahe raqeeb ke aansu bhi mere gaalon par
ye saanehaa bhi mohabbat mein pesh aaya hai

ye koi aur hai teri taraf sarkata hua
andhera hote hi jo mujh mein aa samaaya hai

hamaare ishq se mar'oub is qadar bhi na ho
ye khun to ek adakaar ne bahaaya hai

yahan to ret hai patthar hain aur kuch bhi nahin
vo kya dikhaane mujhe itni door laaya hai

bahut se bojh hain dil par ye koi aisa nahin
ye dukh kisi ne hamaare liye uthaya hai

गुज़र रहा है वो लम्हा तो याद आया है
उस एक पल से कभी कितना ख़ौफ़ खाया है

उसी निगाह ने आँखों को कर दिया पत्थर
उसी निगाह में सब कुछ नज़र भी आया है

ये तंज़ यूँ भी है इक इम्तिहान मेरे लिए
तिरे लबों से कोई और मुस्कुराया है

बहे रक़ीब के आँसू भी मेरे गालों पर
ये सानेहा भी मोहब्बत में पेश आया है

ये कोई और है तेरी तरफ़ सरकता हुआ
अंधेरा होते ही जो मुझ में आ समाया है

हमारे इश्क़ से मरऊब इस क़दर भी न हो
ये ख़ूँ तो एक अदाकार ने बहाया है

यहाँ तो रेत है पत्थर हैं और कुछ भी नहीं
वो क्या दिखाने मुझे इतनी दूर लाया है

बहुत से बोझ हैं दिल पर ये कोई ऐसा नहीं
ये दुख किसी ने हमारे लिए उठाया है

- Shariq Kaifi
4 Likes

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shariq Kaifi

As you were reading Shayari by Shariq Kaifi

Similar Writers

our suggestion based on Shariq Kaifi

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari