doosri baaton mein ham ko ho gaya ghaata bahut
warna fikr-e-sher ko do waqt ka aataa bahut
kaayenaat aur zaat mein kuchh chal rahi hai aaj kal
jab se andar shor hai baahar hai sannaata bahut
aarzoo ka shor barpa hijr ki raaton mein tha
vasl ki shab to hua jaata hai sannaata bahut
ham se to ik sher sun kar falsafi chup ho gaya
lekin us ne be-zabaan naqqaad ko chaata bahut
dil ki baatein doosron se mat kaho loot jaaoge
aaj kal izhaar ke dhundhe mein hai ghaata bahut
दूसरी बातों में हम को हो गया घाटा बहुत
वर्ना फ़िक्र-ए-शेर को दो वक़्त का आटा बहुत
काएनात और ज़ात में कुछ चल रही है आज कल
जब से अंदर शोर है बाहर है सन्नाटा बहुत
आरज़ू का शोर बरपा हिज्र की रातों में था
वस्ल की शब तो हुआ जाता है सन्नाटा बहुत
हम से तो इक शेर सुन कर फ़लसफ़ी चुप हो गया
लेकिन उस ने बे-ज़बाँ नक़्क़ाद को चाटा बहुत
दिल की बातें दूसरों से मत कहो लुट जाओगे
आज कल इज़हार के धंधे में है घाटा बहुत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shuja Khawar
our suggestion based on Shuja Khawar
As you were reading Khamoshi Shayari Shayari