ab kisi ko nahin mera afsos
jaan kar ye bahut hua afsos
dukh nahin ye jahaan mukhalif hai
saath apne nahin khuda afsos
lad ke barbaad ho gaye jab ham
saath mil kar kiya gaya afsos
jab bhi khushiyon ne dar pe dastak di
saamne aa khada hua afsos
ham faqat jang hi nahin haare
hausla bhi bikhar gaya afsos
ik ghazal aur ho gai ham se
she'r koi nahin hua afsos
aap ko main ne thes pahunchaai
main ne behad bura kiya afsos
khoob-soorat bahut nazar aaye
jab mera dil nahin raha afsos
mujh ko khud par yaqeen nahin jaanaan
tum ne mujh par yaqeen kiya afsos
main ne baaki nahin rakha kuchh bhi
aap ne kuchh nahin kiya afsos
tu hai sharminda ilm hai lekin
tu nazar se utar gaya afsos
aadmi tu siraaj achha tha
itni jaldi guzar gaya afsos
faatiha padh ki phool rakh mujh par
aa gaya hai to kuchh jata afsos
us ne barbaad kar diya mujh ko
us ko is ka nahin zara afsos
mujh ko tum par bahut bharosa tha
tum ne mayus kar diya afsos
ai khuda hai haseen tiri duniya
par mera jee uchat gaya afsos
अब किसी को नहीं मिरा अफ़्सोस
जान कर ये बहुत हुआ अफ़्सोस
दुख नहीं ये जहाँ मुख़ालिफ़ है
साथ अपने नहीं ख़ुदा अफ़्सोस
लड़ के बर्बाद हो गए जब हम
साथ मिल कर किया गया अफ़्सोस
जब भी ख़ुशियों ने दर पे दस्तक दी
सामने आ खड़ा हुआ अफ़्सोस
हम फ़क़त जंग ही नहीं हारे
हौसला भी बिखर गया अफ़्सोस
इक ग़ज़ल और हो गई हम से
शे'र कोई नहीं हुआ अफ़्सोस
आप को मैं ने ठेस पहुँचाई
मैं ने बेहद बुरा किया अफ़्सोस
ख़ूब-सूरत बहुत नज़र आए
जब मिरा दिल नहीं रहा अफ़्सोस
मुझ को ख़ुद पर यक़ीं नहीं जानाँ
तुम ने मुझ पर यक़ीं किया अफ़्सोस
मैं ने बाक़ी नहीं रखा कुछ भी
आप ने कुछ नहीं किया अफ़्सोस
तू है शर्मिंदा इल्म है लेकिन
तू नज़र से उतर गया अफ़्सोस
आदमी तू 'सिराज' अच्छा था
इतनी जल्दी गुज़र गया अफ़्सोस
फ़ातिहा पढ़ कि फूल रख मुझ पर
आ गया है तो कुछ जता अफ़्सोस
उस ने बर्बाद कर दिया मुझ को
उस को इस का नहीं ज़रा अफ़्सोस
मुझ को तुम पर बहुत भरोसा था
तुम ने मायूस कर दिया अफ़्सोस
ऐ ख़ुदा है हसीं तिरी दुनिया
पर मिरा जी उचट गया अफ़्सोस
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Siraj Faisal Khan
our suggestion based on Siraj Faisal Khan
As you were reading Dard Shayari Shayari