kitni lambi ye zindagaani hai
tujh ko pa kar ye baat jaani hai
jism be-shak hamaara faani hai
umr ham ko magar bitaani hai
roz bharti hai kaan duniya ke
ek deewaar mujh ko dhaani hai
raaz tu ne ayaan kiye sab par
tujh se har baat ab chhupani hai
kaash mujh par bhi taari ho jaaye
meri ghazlon mein jo rawaani hai
zindagi se bhi jang ladni hai
maut ko aankh bhi dikhaani hai
ye mere zabt ka karishma hai
meri aankhon mein sirf paani hai
main abhi gurz ho ke ubhara hoon
mujh se har ek shay puraani hai
saamne rakh diya jigar us ke
mujh pe jis ne kamaan taani hai
us se kuchh dooriyaan bana lena
jis ne bas haarne ki thaani hai
कितनी लम्बी ये ज़िंदगानी है
तुझ को पा कर ये बात जानी है
जिस्म बे-शक हमारा फ़ानी है
उम्र हम को मगर बितानी है
रोज़ भरती है कान दुनिया के
एक दीवार मुझ को ढानी है
राज़ तू ने अयाँ किए सब पर
तुझ से हर बात अब छुपानी है
काश मुझ पर भी तारी हो जाए
मेरी ग़ज़लों में जो रवानी है
ज़िंदगी से भी जंग लड़नी है
मौत को आँख भी दिखानी है
ये मिरे ज़ब्त का करिश्मा है
मेरी आँखों में सिर्फ़ पानी है
मैं अभी गर्क़ हो के उभरा हूँ
मुझ से हर एक शय पुरानी है
सामने रख दिया जिगर उस के
मुझ पे जिस ने कमान तानी है
उस से कुछ दूरियाँ बना लेना
जिस ने बस हारने की ठानी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading Hadsa Shayari Shayari