nazar-andaaz karte ho kahin aisa na ho jaaye | नज़र-अंदाज़ करते हो कहीं ऐसा न हो जाए

  - Sohil Barelvi

nazar-andaaz karte ho kahin aisa na ho jaaye
tumhaari aankh se ojhal mera chehra na ho jaaye

darakhton se parindon ke maraasim todne waale
agar ye bad-dua de den to ghar soona na ho jaaye

bahut se zakhm le kar jee raha hoon na-tawan dil mein
ilaaj-e-dard se pehle koii rasta na ho jaaye

suna hai aap jo bhi sochte hain vo sadaqat hai
mera likkha kisi din phir kahin sachcha na ho jaaye

mujhe ai chaahne waale zara kam muskuraa pehle
kahin tujh ko koii jaadu koii toona na ho jaaye

davaai se mera dil kab talak bahlega chaaragar
kahin is silsile mein jism bhi peela na ho jaaye

tujhe us shakhs par khud se ziyaada kyun bharosa hai
kahin vo shakhs bhi sohil bahut jhoota na ho jaaye

नज़र-अंदाज़ करते हो कहीं ऐसा न हो जाए
तुम्हारी आँख से ओझल मिरा चेहरा न हो जाए

दरख़्तों से परिंदों के मरासिम तोड़ने वाले
अगर ये बद-दुआ दे दें तो घर सूना न हो जाए

बहुत से ज़ख़्म ले कर जी रहा हूँ ना-तवाँ दिल में
इलाज-ए-दर्द से पहले कोई रस्ता न हो जाए

सुना है आप जो भी सोचते हैं वो सदाक़त है
मिरा लिक्खा किसी दिन फिर कहीं सच्चा न हो जाए

मुझे ऐ चाहने वाले ज़रा कम मुस्कुरा पहले
कहीं तुझ को कोई जादू कोई टोना न हो जाए

दवाई से मिरा दिल कब तलक बहलेगा चारागर
कहीं इस सिलसिले में जिस्म भी पीला न हो जाए

तुझे उस शख़्स पर ख़ुद से ज़ियादा क्यूँ भरोसा है
कहीं वो शख़्स भी सोहिल बहुत झूठा न हो जाए

  - Sohil Barelvi

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sohil Barelvi

As you were reading Shayari by Sohil Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Sohil Barelvi

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari