saath waalon ko yahan par yun akela chhod kar | साथ वालों को यहाँ पर यूँ अकेला छोड़ कर - Sohil Barelvi

saath waalon ko yahan par yun akela chhod kar
aap tanhaa hon na jaayen saath sab ka chhod kar

door se har ek chehra lagta hai apna magar
aap bhi chal hi diye na saath mera chhod kar

yaad hum hi aayenge us waqt tum ko baarha
jab chala jaayega koi tum ko apna chhod kar

us ke main nazdeek itne aa gaya hoon aaj kal
sab nazar aata hai mujh ko us ka chehra chhod kar

ghar mein aaya to udaasi rooth kar kehne lagi
is tarah jaate nahin hain ghar ka dar vaa chhod kar

in labon se ek din tum hi kahoge dekhna
koi hum ko mil na paaya aap jaisa chhod kar

ek muddat saath apne rahte-rahte thak gai
ab udaasi ja rahi hai ghar hamaara chhod kar

baat meri maaniye ya poochiye sayyaad se
koi panchi khush nahin hai aaj pinjra chhod kar

chalne waale ki bhi sohil apni marzi hoti hai
rekh par chalta hai koi koi rasta chhod kar

साथ वालों को यहाँ पर यूँ अकेला छोड़ कर
आप तन्हा हों न जाएँ साथ सब का छोड़ कर

दूर से हर एक चेहरा लगता है अपना मगर
आप भी चल ही दिए ना साथ मेरा छोड़ कर

याद हम ही आएँगे उस वक़्त तुम को बारहा
जब चला जाएगा कोई तुम को अपना छोड़ कर

उस के मैं नज़दीक इतने आ गया हूँ आज कल
सब नज़र आता है मुझ को उस का चेहरा छोड़ कर

घर में आया तो उदासी रूठ कर कहने लगी
इस तरह जाते नहीं हैं घर का दर वा छोड़ कर

इन लबों से एक दिन तुम ही कहोगे देखना
कोई हम को मिल न पाया आप जैसा छोड़ कर

एक मुद्दत साथ अपने रहते-रहते थक गई
अब उदासी जा रही है घर हमारा छोड़ कर

बात मेरी मानिए या पूछिए सय्याद से
कोई पंछी ख़ुश नहीं है आज पिंजरा छोड़ कर

चलने वाले की भी 'सोहिल' अपनी मर्ज़ी होती है
रेख पर चलता है कोई, कोई रस्ता छोड़ कर

- Sohil Barelvi
4 Likes

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sohil Barelvi

As you were reading Shayari by Sohil Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Sohil Barelvi

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari