zakhm har ik bhar jaata hai
waqt saheeh jab aata hai
suraj chhup jaane ke baad
ik jugnoo sharmaata hai
karta hai jannat jannat
dharti par mar jaata hai
ab to sirf andhera hi
raah hamein dikhaata hai
koi pooche mujh se bhi
mujh ko bhi kuchh bhaata hai
jab se toota darwaaza
har koi aata jaata hai
ज़ख़्म हर इक भर जाता है
वक़्त सहीह जब आता है
सूरज छुप जाने के बाद
इक जुगनू शरमाता है
करता है जन्नत जन्नत
धरती पर मर जाता है
अब तो सिर्फ़ अँधेरा ही
राह हमें दिखलाता है
कोई पूछे मुझ से भी
मुझ को भी कुछ भाता है
जब से टूटा दरवाज़ा
हर कोई आता जाता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading Gham Shayari Shayari