safhon ki qaid se abhi azaad kijie | सफ़्हों की क़ैद से अभी आज़ाद कीजिए

  - Sohil Barelvi

safhon ki qaid se abhi azaad kijie
kuchh sher-e-tar hue hon to irshaad kijie

sheeshe se roz aati hai bas ek hi sada
roti hui ye shakl kabhi shaad kijie

seene se dil nikal ke hi aa jaaye roo-b-roo
ik roz itna aap mujhe yaad kijie

bas ek kaam aata hai duniya ko khoob-tar
jo shakhs khush dikhaai de naashaad kijie

ye din khushi ka din hai ise chhodkar huzoor
aabaad dil ko phir kabhi barbaad kijie

sohil ye ashk aankh mein kyun rok kar rakhe
azaad panchiyon ko to azaad kijie

सफ़्हों की क़ैद से अभी आज़ाद कीजिए
कुछ शेर-ए-तर हुए हों तो इरशाद कीजिए

शीशे से रोज़ आती है बस एक ही सदा
रोती हुई ये शक्ल कभी शाद कीजिए

सीने से दिल निकल के ही आ जाए रू-ब-रू
इक रोज़ इतना आप मुझे याद कीजिए

बस एक काम आता है दुनिया को ख़ूब-तर
जो शख़्स ख़ुश दिखाई दे नाशाद कीजिए

ये दिन ख़ुशी का दिन है इसे छोड़कर हुज़ूर
आबाद दिल को फिर कभी बर्बाद कीजिए

सोहिल ये अश्क आँख में क्यूँ रोक कर रखे
आज़ाद पंछियों को तो आज़ाद कीजिए

  - Sohil Barelvi

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sohil Barelvi

As you were reading Shayari by Sohil Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Sohil Barelvi

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari