utara utara to yun chehra na ghadi ka hota
zaayqa waqt ka thoda bhi jo meetha hota
raat ik roz to mele mein nikalti apne
chaand ik shaam to paani ka bataasha hota
tab mujhe sab hi samjhte tira jogi jaanaan
mere maathe pe agar hijr ka teeka hota
उतरा उतरा तो यूँ चेहरा न घड़ी का होता
ज़ायक़ा वक़्त का थोड़ा भी जो मीठा होता
रात इक रोज़ तो मेले में निकलती अपने
चाँद इक शाम तो पानी का बताशा होता
तब मुझे सब ही समझते तिरा जोगी जानाँ
मेरे माथे पे अगर हिज्र का टीका होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Swapnil Tiwari
our suggestion based on Swapnil Tiwari
As you were reading Waqt Shayari Shayari