dost kya khoob wafaon ka sila dete hain
har naye mod par ek zakhm naya dete hain
tum se to khair ghadi-bhar kii mulaqaat rahi
log sadiyon kii rafaqat ko bhula dete hain
kaise mumkin hai ki dhuaan bhi na ho aur dil bhi jale
chot padti hai to patthar bhi sada dete hain
kaun hota hai museebat mein kisi ka ai dost
aag lagti hai to patte bhi hawa dete hain
jin pe hota hai bahut dil ko bharosa taabish
waqt padne pe wahi log dagaa dete hain
दोस्त क्या ख़ूब वफ़ाओं का सिला देते हैं
हर नए मोड़ पर एक ज़ख़्म नया देते हैं
तुम से तो ख़ैर घड़ी-भर की मुलाक़ात रही
लोग सदियों की रफ़ाक़त को भुला देते हैं
कैसे मुम्किन है कि धुआँ भी न हो और दिल भी जले
चोट पड़ती है तो पत्थर भी सदा देते हैं
कौन होता है मुसीबत में किसी का ऐ दोस्त
आग लगती है तो पत्ते भी हवा देते हैं
जिन पे होता है बहुत दिल को भरोसा 'ताबिश'
वक़्त पड़ने पे वही लोग दग़ा देते हैं
As you were reading Shayari by Tabish Dehlvi
our suggestion based on Tabish Dehlvi
As you were reading undefined Shayari