mah-o-parveen tah-e-kamand rahe
kin fazaaon mein ham buland rahe
gham-e-hasti se be-niyaaz sahi
ahl-e-dil phir bhi dard-mand rahe
chashm-e-uqda-kushaa se bhi na khule
ham kuchh is tarah band band rahe
bar-sar-e-daar ham sahi lekin
harf-e-haq ki tarah buland rahe
husn ki khud-numaaiyaan tauba
muddaton ham bhi khud-pasand rahe
may-o-masti nahin hai us pe haraam
may-kade mein jo hosh-mand rahe
ham hain rahbar se do qadam aage
hausale shauq se do-chand rahe
dushmanon ka gila nahin taabish
dost bhi darpya-e-gazand rahe
मह-ओ-पर्वीं तह-ए-कमंद रहे
किन फ़ज़ाओं में हम बुलंद रहे
ग़म-ए-हस्ती से बे-नियाज़ सही
अहल-ए-दिल फिर भी दर्द-मंद रहे
चश्म-ए-उक़्दा-कुशा से भी न खुले
हम कुछ इस तरह बंद बंद रहे
बर-सर-ए-दार हम सही लेकिन
हर्फ़-ए-हक़ की तरह बुलंद रहे
हुस्न की ख़ुद-नुमाईयाँ तौबा
मुद्दतों हम भी ख़ुद-पसंद रहे
मय-ओ-मस्ती नहीं है उस पे हराम
मय-कदे में जो होश-मंद रहे
हम हैं रहबर से दो क़दम आगे
हौसले शौक़ से दो-चंद रहे
दुश्मनों का गिला नहीं 'ताबिश'
दोस्त भी दरपय-ए-गज़ंद रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tabish Dehlvi
our suggestion based on Tabish Dehlvi
As you were reading Chehra Shayari Shayari