shikwa na ho tasalsul-e-aah-o-fughaan rahe | शिकवा न हो तसलसुल-ए-आह-ओ-फ़ुग़ाँ रहे

  - Tajammul Hussain Akhtar

shikwa na ho tasalsul-e-aah-o-fughaan rahe
vo chahte hain aag na bhadke dhuaan rahe

lail-o-nahaar pehle jo the ab kahaan rahe
haan yaad hai ki tum bhi kabhi meherbaan rahe

qurbat mein aa pade the qayamat ke faasle
tanhaa the ham to qaul-o-qasam darmiyaan rahe

har gaam par hain daar-o-rasan ki sahoolatein
ab jism-o-jaan lutao ki naam-o-nishaan rahe

yun muskuraa ke tark-e-taalluq ki guftugoo
aisa sitam ki jis pe karam ka gumaan rahe

raahon ke pech-o-kham mein musaafir bikhar gaye
ab kaarwaan qayaam kare ya ravaan rahe

khushboo-e-pairhan mein basa hai ruvaan roovaan
vo ham se laakh door rahe juzw-e-jaan rahe

शिकवा न हो तसलसुल-ए-आह-ओ-फ़ुग़ाँ रहे
वो चाहते हैं आग न भड़के धुआँ रहे

लैल-ओ-नहार पहले जो थे अब कहाँ रहे
हाँ याद है कि तुम भी कभी मेहरबाँ रहे

क़ुर्बत में आ पड़े थे क़यामत के फ़ासले
तन्हा थे हम तो क़ौल-ओ-क़सम दरमियाँ रहे

हर गाम पर हैं दार-ओ-रसन की सहूलतें
अब जिस्म-ओ-जाँ लुटाओ कि नाम-ओ-निशाँ रहे

यूँ मुस्कुरा के तर्क-ए-तअल्लुक़ की गुफ़्तुगू
ऐसा सितम कि जिस पे करम का गुमाँ रहे

राहों के पेच-ओ-ख़म में मुसाफ़िर बिखर गए
अब कारवाँ क़याम करे या रवाँ रहे

ख़ुश्बू-ए-पैरहन में बसा है रुवाँ रूवाँ
वो हम से लाख दूर रहे जुज़्व-ए-जाँ रहे

  - Tajammul Hussain Akhtar

Aanch Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Tajammul Hussain Akhtar

Similar Moods

As you were reading Aanch Shayari Shayari