kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla | कैसे उसने ये सब कुछ मुझसे छुपकर बदला

  - Tehzeeb Hafi

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla
chehra badla rasta badla baad mein ghar badla

main uske baare mein ye kehta tha logon se
mera naam badal dena vo shakhs agar badla

vo bhi khush tha usne dil dekar dil maanga hai
main bhi khush hoon maine patthar se patthar badla

maine kaha kya meri khaatir khud ko badloge
aur phir usne nazren badlein aur number badla

कैसे उसने ये सब कुछ मुझसे छुपकर बदला
चेहरा बदला रस्ता बदला बाद में घर बदला

मैं उसके बारे में ये कहता था लोगों से
मेरा नाम बदल देना वो शख़्स अगर बदला

वो भी ख़ुश था उसने दिल देकर दिल माँगा है
मैं भी ख़ुश हूँ मैंने पत्थर से पत्थर बदला

मैंने कहा क्या मेरी ख़ातिर ख़ुद को बदलोगे
और फिर उसने नज़रें बदलीं और नंबर बदला

  - Tehzeeb Hafi

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tehzeeb Hafi

As you were reading Shayari by Tehzeeb Hafi

Similar Writers

our suggestion based on Tehzeeb Hafi

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari