kya ghalatfahmi mein rah jaane ka sadma kuchh nahi | क्या ग़लतफ़हमी में रह जाने का सदमा कुछ नही

  - Tehzeeb Hafi

kya ghalatfahmi mein rah jaane ka sadma kuchh nahi
vo mujhe samjha to saka tha ki aisa kuchh nahi

ishq se bach kar bhi banda kuchh nahi hota magar
ye bhi sach hai ishq mein bande ka bachta kuchh nahi

jaane kaise raaz seene mein liye baitha hai vo
zahr kha leta hai par munh se ugalta kuchh nahi

shukr hai ki usne mujhse kah diya ki kuchh to hai
main usse kehne hi waala tha ki achha kuchh nahi

क्या ग़लतफ़हमी में रह जाने का सदमा कुछ नही
वो मुझे समझा तो सकता था कि ऐसा कुछ नही

इश्क़ से बच कर भी बंदा कुछ नही होता मग़र
ये भी सच है इश्क़ में बंदे का बचता कुछ नही

जाने कैसे राज़ सीने में लिए बैठा है वो
ज़ह्र खा लेता है पर मुँह से उगलता कुछ नही

शुक्र है कि उसने मुझसे कह दिया कि कुछ तो है
मैं उससे कहने ही वाला था कि अच्छा कुछ नही

  - Tehzeeb Hafi

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tehzeeb Hafi

As you were reading Shayari by Tehzeeb Hafi

Similar Writers

our suggestion based on Tehzeeb Hafi

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari