ye maine kab kaha ki mere haq mein faisla kare | ये मैंने कब कहा कि मेरे हक़ में फ़ैसला करे - Tehzeeb Hafi

ye maine kab kaha ki mere haq mein faisla kare
agar vo mujh se khush nahin hai to mujhe juda kare

main uske saath jis tarah guzaarta hoon zindagi
use to chahiye ki mera shukriya ada kare

meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai
khuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare

bana chuka hoon main mohabbaton ke dard ki dava
agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

ये मैंने कब कहा कि मेरे हक़ में फ़ैसला करे
अगर वो मुझ से ख़ुश नहीं है तो मुझे जुदा करे

मैं उसके साथ जिस तरह गुज़ारता हूँ ज़िंदगी
उसे तो चाहिए कि मेरा शुक्रिया अदा करे

मेरी दुआ है और इक तरह से बद्दुआ भी है
ख़ुदा तुम्हें तुम्हारे जैसी बेटियाँ अता करे

बना चुका हूँ मैं मोहब्बतों के दर्द की दवा
अगर किसी को चाहिए तो मुझसे राब्ता करे

- Tehzeeb Hafi
196 Likes

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tehzeeb Hafi

As you were reading Shayari by Tehzeeb Hafi

Similar Writers

our suggestion based on Tehzeeb Hafi

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari