ajab hai usse kabhi vasl ho nahin paaya
hamaare beech mein har baar aaina aaya
ghazal ko sood kaha aur gham ko sarmaaya
hisaab aql se kya khoob dil ne karwaya
gagan ke maano ki jaise kabhi ye the hi nahin
parindon ne hai qafas ko kuchh aise apnaaya
kaha gaya hai inhen sur lagaane ko jab bhi
hamaari aankhon ne malhaar raag hi gaaya
kisi ko qabr mein la-faniyat hui haasil
kisi ko zindagi ne jeete-ji hi dafnaaya
अजब है उससे कभी वस्ल हो नहीं पाया
हमारे बीच में हर बार आइना आया
ग़ज़ल को सूद कहा और ग़म को सरमाया
हिसाब अक़्ल से क्या ख़ूब दिल ने करवाया
गगन के मानो कि जैसे कभी ये थे ही नहीं
परिंदों ने है क़फ़स को कुछ ऐसे अपनाया
कहा गया है इन्हें सुर लगाने को जब भी
हमारी आँखों ने मल्हार राग ही गाया
किसी को क़ब्र में ला-फ़ानियत हुई हासिल
किसी को ज़िंदगी ने जीते-जी ही दफ़नाया
As you were reading Shayari by Ananth Faani
our suggestion based on Ananth Faani
As you were reading undefined Shayari