aakhir barhana karke mujhe chhodkar gaya | आख़िर बरहना करके मुझे छोड़कर गया

  - Ananth Faani

aakhir barhana karke mujhe chhodkar gaya
poora libaas waqt ka chooha katar gaya

ye khel ishq ka hai jigar chahiye yahan
dharti kii pyaas dekhke baadal to dar gaya

ummeed ek zakhm se hamko bahut thi aur
vo zakhm sher banne se pehle hi bhar gaya

khud tak ka raasta hi tha kuchh aisa pur-kashish
nikla jo is pe main to kabhi phir na ghar gaya

mujhse meri judat thi aseeri meri anant
azaad jo hua to main kaafi bikhar gaya

आख़िर बरहना करके मुझे छोड़कर गया
पूरा लिबास वक़्त का चूहा कतर गया

ये खेल इश्क़ का है जिगर चाहिए यहाँ
धरती की प्यास देखके बादल तो डर गया

उम्मीद एक ज़ख़्म से हमको बहुत थी और
वो ज़ख़्म शेर बनने से पहले ही भर गया

ख़ुद तक का रास्ता ही था कुछ ऐसा पुर-कशिश
निकला जो इस पे मैं तो कभी फिर न घर गया

मुझसे मेरी जुड़त थी असीरी मेरी 'अनन्त'
आज़ाद जो हुआ तो मैं काफ़ी बिखर गया

  - Ananth Faani

More by Ananth Faani

As you were reading Shayari by Ananth Faani

Similar Writers

our suggestion based on Ananth Faani

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari