ho ke ham taar-taar baithe hain | हो के हम तार-तार बैठे हैं

  - Haider Khan

ho ke ham taar-taar baithe hain
ishq mein tujhko haar baithe hain

aur uspe mazid ye gham ke
kho ke sab rozgaar baithe hain

raaz ko dastaan bana kar ke
khud mere raazdaar baithe hain

bas teri just-o-joo hai baaki sab
kar ke ham dar-kinaar baithe hain

tu mile ya nahin magar phir bhi
hai tera intizaar baithe hain

vo nazar teer si thi uski jo
kar ke ham aar-paar baithe hain

हो के हम तार-तार बैठे हैं
इश्क़ में तुझको हार बैठे हैं

और उसपे मज़ीद ये ग़म के
खो के सब रोज़गार बैठे हैं

राज़ को दास्ताँ बना कर के
ख़ुद मेरे राज़दार बैठे हैं

बस तेरी जुस्त-ओ-जू है बाकी सब
कर के हम दर-किनार बैठे हैं

तू मिले या नहीं मगर फिर भी
है तेरा इंतिज़ार, बैठे हैं

वो नज़र तीर सी थी उसकी जो
कर के हम आर-पार बैठे हैं

  - Haider Khan

Naqab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haider Khan

As you were reading Shayari by Haider Khan

Similar Writers

our suggestion based on Haider Khan

Similar Moods

As you were reading Naqab Shayari Shayari