har aadmi ko aadmi darkaar hai | हर आदमी को आदमी दरकार है

  - Salma Malik

har aadmi ko aadmi darkaar hai
insaaniyat ka ho chuka vyaapaar hai

ye to tiri hai zindagi ye shaan hai
kyun zulm ke aage jhuki dastaar hai

jo pyaar hai makkaar hai bekar hai
main hoon musavvir vo mera shehkaar hai

har waqt hai maahol bas ik jang ka
aisi siyaasat se bhari sarkaar hai

ghazlen meri ye jaan hain salma magar
ye shayari hi to mera meaar hai

हर आदमी को आदमी दरकार है
इंसानियत का हो चुका व्यापार है

ये तो तिरी है ज़िन्दगी ये शान है
क्यों ज़ुल्म के आगे झुकी दस्तार है

जो प्यार है मक्कार है बेकार है
मैं हूँ मुसव्विर वो मिरा शहकार है

हर वक़्त है माहौल बस इक जंग का
ऐसी सियासत से भरी सरकार है

ग़ज़लें मेंरी ये जान हैं 'सलमा' मगर
ये शायरी ही तो मेरा मेआर है

  - Salma Malik

Jafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Salma Malik

As you were reading Shayari by Salma Malik

Similar Writers

our suggestion based on Salma Malik

Similar Moods

As you were reading Jafa Shayari Shayari