ye nahin manzil faqat ik raasta hai | ये नहीं मंज़िल फ़क़त इक रास्ता है

  - Salma Malik

ye nahin manzil faqat ik raasta hai
zindagi gham ke sivaae aur kya hai

shauq kahte hai jise kuchh bhi nahin hai
ye kitaabat to gham-e-dil ka pata hai

zindagi ko bhi hai tumse kuchh shikaayat
bas tumhein hi to nahin isse gila hai

faayda nuqsaan ismein to na dekho
ye mohabbat hai na koi mashgala hai

aarzoo thi khwaahishein ho sab muqammal
ab magar har ek khwaahish aablaa hai

khoon se likhte hain har ik sher apna
shayari ye shaayaron ka rozana hai

hai radif-o-kaafie salma zaroori
har ghazal inke bina to be-maza hai

ये नहीं मंज़िल फ़क़त इक रास्ता है
ज़िन्दगी ग़म के सिवाए और क्या है

शौक़ कहते है जिसे कुछ भी नहीं है
ये किताबत तो ग़म-ए-दिल का पता है

ज़िन्दगी को भी है तुमसे कुछ शिकायत
बस तुम्हें ही तो नहीं इससे गिला है

फ़ायदा नुक़सान इसमें तो न देखो
ये मोहब्बत है, न कोई मशग़ला है

आरज़ू थी ख़्वाहिशें हो सब मुक़म्मल
अब मगर हर एक ख़्वाहिश आबला है

ख़ून से लिखते हैं हर इक शेर अपना
शायरी ये शायरों का मोजिज़ा है

है रदीफ़-ओ-काफ़िए 'सलमा' ज़रूरी
हर ग़ज़ल इनके बिना तो बे-मज़ा है

  - Salma Malik

Manzil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Salma Malik

As you were reading Shayari by Salma Malik

Similar Writers

our suggestion based on Salma Malik

Similar Moods

As you were reading Manzil Shayari Shayari