zamaane ko zamaane ki zaroorat hai
kiye vaade nibhaane ki zaroorat hai
jidhar dekho udhar bas teergi hi hai
hamein ik lau jalane ki zaroorat hai
zamaana hai raqeebon mein mere shaamil
rifaqat aazmaane ki zaroorat hai
mere is khoon ki syaahi bhari jis mein
qalam ab vo chalaane ki zaroorat hai
zamaana bhi zamaane tak na bhulega
kahaani vo sunaane ki zaroorat hai
mere hisse kabhi aayi nahin thi jo
mohabbat vo bhulaane ki zaroorat hai
gaya ye mar bahut pehle suno salma
janaaza ab uthaane ki zaroorat hai
ज़माने को ज़माने की ज़रूरत है
किए वादे निभाने की ज़रूरत है
जिधर देखो उधर बस तीरगी ही है
हमें इक लौ जलाने की ज़रूरत है
ज़माना है रक़ीबों में मिरे शामिल
रिफ़ाक़त आज़माने की ज़रूरत है
मिरे इस ख़ून की स्याही भरी जिस में
क़लम अब वो चलाने की ज़रूरत है
ज़माना भी ज़माने तक न भूलेगा
कहानी वो सुनाने की ज़रूरत है
मिरे हिस्से कभी आई नहीं थी जो
मोहब्बत वो भुलाने की ज़रूरत है
गया ये मर बहुत पहले सुनो 'सलमा'
जनाज़ा अब उठाने की ज़रूरत है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Salma Malik
our suggestion based on Salma Malik
As you were reading Mohabbat Shayari Shayari