ho bhale gham muskurana chahiye
aankh ka moti chhipaana chahiye
ye nahin khwaahish gharaunda khoob ho
begharon ko bas thikaana chahiye
waqt par jab saath apne chhod den
ghair ko tab aazmaana chahiye
hausla gar toot jaaye saathiyo
saath khud ka phir nibhaana chahiye
dosti mein badgumaani jo kare
haath usse phir chhudana chahiye
waqt sa anmol kuchh hota nahin
yun nahin isko ganwaana chahiye
hain kitaabon mein chhupe moti kai
kaatibon ko ye bataana chahiye
ye nahin aasaan hai salma magar
karz likhne ka chukaana chahiye
हो भले ग़म मुस्कुराना चाहिए
आँख का मोती छिपाना चाहिए
ये नहीं ख़्वाहिश घरौंदा ख़ूब हो
बेघरों को बस ठिकाना चाहिए
वक़्त पर जब साथ अपने छोड़ दें
ग़ैर को तब आज़माना चाहिए
हौसला गर टूट जाए साथियों
साथ ख़ुद का फिर निभाना चाहिए
दोस्ती में बदगुमानी जो करे
हाथ उससे फिर छुड़ाना चाहिए
वक़्त सा अनमोल कुछ होता नहीं
यूँ नहीं इसको गँवाना चाहिए
हैं किताबों में छिपे मोती कई
कातिबों को ये बताना चाहिए
ये नहीं आसान है 'सलमा' मगर
कर्ज़ लिखने का चुकाना चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Salma Malik
our suggestion based on Salma Malik
As you were reading Rahbar Shayari Shayari