ham ko dil-e-fayyaaz hona chahiye
tumko to ham pe naaz hona chahiye
chehre padhe jaate nahin is daur mein
so dard ko alfaaz hona chahiye
ham kab talak tanhaa rahein yun bolte
koi to ham-aawaaz hona chahiye
in koshishon ka ho bhale anjaam jo
hai laazmi aaghaaz hona chahiye
duniya nazarandaaz karti ho kare
khud ko qadarandaaz hona chahiye
ki hain khataayein aapne bhi is qadar
ab to hamein naaraaz hona chahiye
ho ik mera bhi raaz salma aur phir
tumko mera ham-raaz hona chahiye
हम को दिल-ए-फ़य्याज़ होना चाहिए
तुमको तो हम पे नाज़ होना चाहिए
चेहरे पढ़े जाते नहीं इस दौर में
सो दर्द को अल्फ़ाज़ होना चाहिए
हम कब तलक तन्हा रहें यूँ बोलते
कोई तो हम-आवाज़ होना चाहिए
इन कोशिशों का हो भले अंजाम जो
है लाज़मी आग़ाज़ होना चाहिए
दुनिया नज़रअंदाज़ करती हो करे
ख़ुद को क़दरअंदाज़ होना चाहिए
की हैं ख़ताएँ आपने भी इस क़दर
अब तो हमें नाराज़ होना चाहिए
हो इक मिरा भी राज़ 'सलमा' और फिर
तुमको मिरा हम-राज़ होना चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Salma Malik
our suggestion based on Salma Malik
As you were reading Adaa Shayari Shayari