har shakhs ko khuddaar hona chahiye
khud ka tumhein ghamkhwaar hona chahiye
haan jhooth hai makkaar hai duniya magar
saccha mera dildaar hona chahiye
had se ziyaada zulm jab badhne lage
phir ye qalam hathiyaar hona chahiye
sach jhooth ka tum kar sako har farq bhi
itna tumhein hushyaar hona chahiye
jismein mile insaaniyat sabke liye
aisa bhi ik bazaar hona chahiye
ye shayari ik shauq hai maana magar
is shauq ko shehkaar hona chahiye
jhukna nahin thak haar kar salma kabhi
mazboot ye kirdaar hona chahiye
हर शख़्स को ख़ुद्दार होना चाहिए
ख़ुद का तुम्हें ग़मख़्वार होना चाहिए
हाँ झूठ है मक्कार है दुनिया मगर
सच्चा मिरा दिलदार होना चाहिए
हद से ज़ियादा ज़ुल्म जब बढ़ने लगे
फिर ये क़लम हथियार होना चाहिए
सच झूठ का तुम कर सको हर फ़र्क़ भी
इतना तुम्हें हुश्यार होना चाहिए
जिसमें मिले इंसानियत सबके लिए
ऐसा भी इक बाज़ार होना चाहिए
ये शायरी इक शौक़ है माना मगर
इस शौक़ को शहकार होना चाहिए
झुकना नहीं थक हार कर 'सलमा' कभी
मज़बूत ये किरदार होना चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Salma Malik
our suggestion based on Salma Malik
As you were reading Jhooth Shayari Shayari