ye gareebi behaya hai | ये ग़रीबी बेहया है

  - Salma Malik

ye gareebi behaya hai
ye bhala kaisi saza hai

bekasi hai bebaasi hai
bemuravvat muddaa hai

cheen le munh se nivaala
halk mein ik aablaa hai

jin gharo mein ye pale hain
un gharo mein sukh kahaan hai

ye gareebi ik ghazal hai
is ghazal mein sab khala hai

bhookh ye phir pyaas maare
ye gareebon ki azaan hai

ab tumheen salma batao
ye bhala kaisi bala hai

ये ग़रीबी बेहया है
ये भला कैसी सज़ा है

बेकसी है बेबसी है
बेमुरव्वत मुद्दआ है

छीन ले मुँह से निवाला
हल्क में इक आबला है

जिन घरों में ये पले हैं
उन घरों में सुख कहाँ है

ये ग़रीबी इक ग़ज़ल है
इस ग़ज़ल में सब ख़ला है

भूख ये फिर प्यास मारे
ये ग़रीबों की अज़ाँ है

अब तुम्हीं 'सलमा' बताओ
ये भला कैसी बला है

  - Salma Malik

Muflisi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Salma Malik

As you were reading Shayari by Salma Malik

Similar Writers

our suggestion based on Salma Malik

Similar Moods

As you were reading Muflisi Shayari Shayari