yun kisi ko kisi se adavat hui
badh gaya jo sitam to khilaafat hui
jaan luta kar gaye dosti mein sabhi
ik dafa jo kisi se rifaqat hui
haadson mein fana kar na den ye tumhein
chhod do ab bahut ye sharaafat hui
phir kahaan fikr apni ki us shakhs ne
gar kisi ko kisi se muhabbat hui
ruk na jaaye abhi ye kalam kaatibon
gar mukammal nahin ye kitaabat hui
यूँ किसी को किसी से अदावत हुई
बढ़ गया जो सितम तो ख़िलाफ़त हुई
जाँ लुटा कर गये दोस्ती में सभी
इक दफ़ा जो किसी से रिफ़ाक़त हुई
हादसों में फ़ना कर न दें ये तुम्हें,
छोड़ दो अब बहुत ये शराफ़त हुई
फिर कहाँ फ़िक्र अपनी की उस शख़्स ने
गर किसी को किसी से मुहब्बत हुई
रुक न जाए अभी ये कलम कातिबों
गर मुकम्मल नहीं ये किताबत हुई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Salma Malik
our suggestion based on Salma Malik
As you were reading Dosti Shayari Shayari