mujhko patthar vatthar vo kyun samjhen mujhmein dil bhi to hai
ye ghazlen likhna aasaan jitna utna mushkil bhi to hai
maine to sach ki hi khaatir har sach ko sach hi likkha tha
lekin is duniya mein har sach khud mein ik baatil bhi to hai
kya kya badla hai duniya mein in duniya waalon ne ab tak
lekin badqismat duniya ab tak sabse ghaafil bhi to hai
dekho haar na maano har mushkil se takraao tum kyonki
har mushkil ke aage hi khushiyon ka ik saahil bhi to hai
akshar socha kya hoga ye ghazlen likhne se bhi salma
phir jaana meri har khwaahish ka ye ik haasil bhi to hai
मुझको पत्थर वत्थर वो क्यों समझें मुझमें दिल भी तो है
ये ग़ज़लें लिखना आसाँ जितना उतना मुश्किल भी तो है
मैंने तो सच की ही ख़ातिर हर सच को सच ही लिक्खा था
लेकिन इस दुनिया में हर सच ख़ुद में इक बातिल भी तो है
क्या क्या बदला है दुनिया में इन दुनिया वालों ने अब तक
लेकिन बदक़िस्मत दुनिया अब तक सबसे ग़ाफ़िल भी तो है
देखो हार न मानो हर मुश्किल से टकराओ तुम क्योंकि
हर मुश्किल के आगे ही ख़ुशियों का इक साहिल भी तो है
अक्सर सोचा क्या होगा ये ग़ज़लें लिखने से भी 'सलमा'
फिर जाना मेरी हर ख़्वाहिश का ये इक हासिल भी तो है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Salma Malik
our suggestion based on Salma Malik
As you were reading Mahatma Gandhi Shayari Shayari