kitaabat mein karna alaamat ghazal hai | किताबत में करना अलामत ग़ज़ल है - Salma Malik

kitaabat mein karna alaamat ghazal hai
ghazal hai mohabbat mohabbat ghazal hai

ghazal vo nahin tumne jisko chuna hai
chunengi tumhein jo ibaarat ghazal hai

fata ho dupatta magar sar pe hoga
shareefon ke ghar ki sharaafat ghazal hai

chhidkate hain tezaab kuch log lekin
mohabbat mein karna hifaazat ghazal hai

padho tum kitaaben karo ilm haasil
khuda ki khudaai inaayat ghazal hai

agarche hai banna ghazalgo tumhein bhi
sukhnavar ki saari amaanat ghazal hai

nahin jo samjhte ghazal kya hai salma
unhen ye bata do ibadat ghazal hai

किताबत में करना अलामत ग़ज़ल है
ग़ज़ल है मोहब्बत, मोहब्बत ग़ज़ल है

ग़ज़ल वो नहीं तुमने जिसको चुना है
चुनेंगी तुम्हें जो इबारत ग़ज़ल है

फटा हो दुपट्टा मगर सर पे होगा
शरीफ़ों के घर की शराफ़त ग़ज़ल है

छिड़कते हैं तेज़ाब कुछ लोग लेकिन
मोहब्बत में करना हिफ़ाज़त ग़ज़ल है

पढ़ो तुम किताबें, करो इल्म हासिल
ख़ुदा की ख़ुदाई, इनायत ग़ज़ल है

अगरचे है बनना ग़ज़लगो तुम्हें भी
सुख़नवर की सारी अमानत ग़ज़ल है

नहीं जो समझते ग़ज़ल क्या है 'सलमा'
उन्हें ये बता दो इबादत ग़ज़ल है

- Salma Malik
1 Like

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Salma Malik

As you were reading Shayari by Salma Malik

Similar Writers

our suggestion based on Salma Malik

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari