mera kirdaar hi meri kahaani ho
ghazal meri muhabbat ki nishaani ho
sabhi kuchh to hai faani is zamaane mein
kahaani ye magar meri na faani ho
nahin har roz yun marna munaasib hai
khudaaya zindagi mein zindagaani ho
radeefon qaafiye se hi nahin hoti
muqammal har ghazal mein ik kahaani ho
nahin murna kabhi bhi raah se waapis
tumhein phir jaan bhi chahe ganwaani ho
kai hain naam ke mere faqat maani
magar kirdaar ka koi to saani ho
karo vaada khudi se tum karo salma
kabhi bhi aankh mein dekho na paani ho
मिरा किरदार ही मेरी कहानी हो
ग़ज़ल मेरी मुहब्बत की निशानी हो
सभी कुछ तो है फ़ानी इस ज़माने में,
कहानी ये मगर मेरी न फ़ानी हो
नहीं हर रोज़ यूँ मरना मुनासिब है
ख़ुदाया ज़िंदगी में ज़िन्दगानी हो
रदीफ़ों क़ाफ़िए से ही नहीं होती
मुक़म्मल हर ग़ज़ल में इक कहानी हो
नहीं मुड़ना कभी भी राह से वापिस
तुम्हें फिर जान भी चाहे गँवानी हो
कई हैं नाम के मेरे फ़क़त मानी
मगर किरदार का कोई तो सानी हो
करो वादा ख़ुदी से तुम करो 'सलमा'
कभी भी आँख में देखो न पानी हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Salma Malik
our suggestion based on Salma Malik
As you were reading Raasta Shayari Shayari