kisi ko yaad mein rakhna kisi ki yaad mein aana | किसी को याद में रखना किसी की याद में आना - Umrez Ali Haider

kisi ko yaad mein rakhna kisi ki yaad mein aana
ye bhi hai zindagi ka sach har ik roodaad mein aana

khizaan ka yun chale jaana bahaar-e-nau ke aane par
ye bil-aakhir alaamat hai chaman ka maad mein aana

wahi shaahi wahi douraan zamaane mein chale kab tak
ki sultaani zaroori to nahin shehzaad mein aana

jahaan tumko banaana hai mahal apna banaao tum
magar laazim hai sang-o-khisht ka buniyaad mein aana

suno baatil mera eemaan faqat hai kalma-e-tawheed
dara saka nahin mujhko tira taadaad mein aana

sabhi ko hai padi apni kahaan hota kisi se bhi
yahan ab to zarooratmand ke imdaad mein aana

kahaan likkhi ghazal maine ki likkhi zindagi apni
kabhi socha kahaan tha main tumhaari daad mein aana

milega kya zamaane ko khasaare ke siva haider
gawara kyun kare koi chaman barbaad mein aana

किसी को याद में रखना किसी की याद में आना
ये भी है ज़िन्दगी का सच हर इक रूदाद में आना

ख़िज़ाँ का यूँ चले जाना बहार-ए-नौ के आने पर
ये बिल-आख़िर अलामत है चमन का माद में आना

वही शाही वही दौराँ ज़माने में चले कब तक
कि सुल्तानी ज़रूरी तो नहीं शहज़ाद में आना

जहाँ तुमको बनाना है महल अपना बनाओ तुम
मगर लाज़िम है संग-ओ-ख़िश्त का बुनियाद में आना

सुनो बातिल मेरा ईमाँ फ़क़त है कलमा-ए-तौहीद
डरा सकता नहीं मुझको तिरा तादाद में आना

सभी को है पड़ी अपनी कहाँ होता किसी से भी
यहाँ अब तो ज़रूरतमंद के इमदाद में आना

कहाँ लिक्खी ग़ज़ल मैंने कि लिक्खी ज़िंदगी अपनी
कभी सोचा कहाँ था मैं तुम्हारी दाद में आना

मिलेगा क्या ज़माने को ख़सारे के सिवा हैदर
गवारा क्यों करे कोई चमन बर्बाद में आना

- Umrez Ali Haider
1 Like

Mahatma Gandhi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Umrez Ali Haider

As you were reading Shayari by Umrez Ali Haider

Similar Writers

our suggestion based on Umrez Ali Haider

Similar Moods

As you were reading Mahatma Gandhi Shayari Shayari