zindagi sar-basar nahin hoti | ज़िन्दगी सर-बसर नहीं होती

  - Umrez Ali Haider

zindagi sar-basar nahin hoti
jab talak maut gar nahin hoti

faayde hain tire bahut lekin
koi shay be-zarar nahin hoti

kab safar zindagi ka bhari hai
chashm-e-tar jab guhar nahin hoti

bebaasi aakhir uski kya hogi
chidiya jis ke bhi par nahin hoti

raushni jab kabhi nikalti hai
raushni phir kidhar nahin hoti

jab paseene bahaaye usne phir
kyun qaba tar-batar nahin hoti

teri yaadein kahaan–kahaan jaaye
dam-b-dam rah-guzar nahin hoti

khwahish-e-baal-o-par nahin hai gar
jumbish-e-baal-o-par nahin hoti

jab ye shola–daroon fatta hai
zeest phir kyun sharar nahin hoti

roz main dil ke parche padhta hoon
bazm-e-dil hai ki sar nahin hoti

khoob hai zindagi jahaan haider
khoob se khoob–tar nahin hoti

ज़िन्दगी सर-बसर नहीं होती
जब तलक मौत गर नहीं होती

फ़ायदे हैं तिरे बहुत लेकिन
कोई शय बे-ज़रर नहीं होती

कब सफ़र ज़िन्दगी का भारी है
चश्म-ए-तर जब गुहर नहीं होती

बेबसी आख़िर उसकी क्या होगी
चिड़िया जिस के भी पर नहीं होती

रौशनी जब कभी निकलती है
रौशनी फिर किधर नहीं होती

जब पसीने बहाए उसने फिर
क्यों क़बा तर-बतर नहीं होती

तेरी यादें कहाँ–कहाँ जाए
दम-ब-दम रह-गुज़र नहीं होती

ख़्वाहिश-ए-बाल-ओ-पर नहीं है गर
जुम्बिश-ए-बाल-ओ-पर नहीं होती

जब ये शोला–दरून फटता है
ज़ीस्त फिर क्यों शरर नहीं होती

रोज़ मैं दिल के परचे पढ़ता हूँ
बज़्म-ए-दिल है कि सर नहीं होती

ख़ूब है ज़िन्दगी जहाँ "हैदर"
ख़ूब से ख़ूब–तर नहीं होती

  - Umrez Ali Haider

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Umrez Ali Haider

As you were reading Shayari by Umrez Ali Haider

Similar Writers

our suggestion based on Umrez Ali Haider

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari