fakhr-e-watan hain dono aur dono muqtadar hain | फ़ख़्र-ए-वतन हैं दोनों और दोनों मुक़्तदर हैं

  - Ufuq Lakhnavi

fakhr-e-watan hain dono aur dono muqtadar hain
hain phool ik chaman ke ik nakhl ke samar hain
ai qaum tere dukh ke dono hi chaaragar hain
dono jigar jigar hain lekin digar digar hain
aapas ke tafarqon se hain aah khaar dono
aghyaar ki nazar mein hain be-waqaar dono
mil kar chalo ki aakhir dono ho bhaai bhaai
bhaai se kya ladai bhaai se kya buraai
kab tak ye khaana-jangi kab tak ye khud-sitaai
do bhaaiyon ko hargiz zeba nahin judaai
mil kar gale nikaalo dil ka ghubaar dono
is khaak ke ho putle paayaan-e-kaar dono
rashk-e-jinaan banaao hindostaan ko mil kar
khoon-e-jigar se seencho is gulistaan ko mil kar
lehraao aasmaan par qaumi nishaan ko mil kar
do aab-e-jan-nisaari nok-e-sinaan ko mil kar

फ़ख़्र-ए-वतन हैं दोनों और दोनों मुक़्तदर हैं
हैं फूल इक चमन के इक नख़्ल के समर हैं
ऐ क़ौम तेरे दुख के दोनों ही चारागर हैं
दोनों जिगर जिगर हैं लेकिन दिगर दिगर हैं
आपस के तफ़रक़ों से हैं आह ख़ार दोनों
अग़्यार की नज़र में हैं बे-वक़ार दोनों
मिल कर चलो कि आख़िर दोनों हो भाई भाई
भाई से क्या लड़ाई भाई से क्या बुराई
कब तक ये ख़ाना-जंगी कब तक ये ख़ुद-सिताई
दो भाइयों को हरगिज़ ज़ेबा नहीं जुदाई
मिल कर गले निकालो दिल का ग़ुबार दोनों
इस ख़ाक के हो पुतले पायान-ए-कार दोनों
रश्क-ए-जिनाँ बनाओ हिन्दोस्ताँ को मिल कर
ख़ून-ए-जिगर से सींचो इस गुलिस्ताँ को मिल कर
लहराओ आसमाँ पर क़ौमी निशाँ को मिल कर
दो आब-ए-जाँ-निसारी नोक-ए-सिनाँ को मिल कर

  - Ufuq Lakhnavi

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ufuq Lakhnavi

As you were reading Shayari by Ufuq Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Ufuq Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari