mubarak hon tujhe khairaat ke gul
khilenge phir mere haalaat ke gul
koi to jeet kar bhi khush nahin hai
kisi ko bha rahe hain maat ke gul
abhi jumlon mein un ke hai sharaarat
abhi taaza hain kuchh jazbaat ke gul
dua go hain kai hanso ke jode
khila de ya khuda barsaat ke gul
tumhaari khushbuen pahchaanta hoon
ye lagte hain tumhaare haath ke gul
abhi har hukm maana ja raha hai
abhi taaza hain meri baat ke gul
unhen kaise nazar-andaaz kar doon
jo tum ne bheje hai sougaat ke gul
मुबारक हों तुझे ख़ैरात के गुल
खिलेंगे फिर मिरे हालात के गुल
कोई तो जीत कर भी ख़ुश नहीं है
किसी को भा रहे हैं मात के गुल
अभी जुमलों में उन के है शरारत
अभी ताज़ा हैं कुछ जज़्बात के गुल
दुआ गो हैं कई हंसों के जोड़े
खिला दे या ख़ुदा बरसात के गुल
तुम्हारी ख़ुशबुएँ पहचानता हूँ
ये लगते हैं तुम्हारे हाथ के गुल
अभी हर हुक्म माना जा रहा है
अभी ताज़ा हैं मेरी बात के गुल
उन्हें कैसे नज़र-अंदाज़ कर दूँ
जो तुम ने भेजे है सौग़ात के गुल
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ujjawal Vashishtha
our suggestion based on Ujjawal Vashishtha
As you were reading Phool Shayari Shayari