gardan mein tauq paanv mein zanjeer dekh kar
hairat hui hai dost ki tasveer dekh kar
kal raat ham ne khoob sitaaron ki sair ki
koi bataaye khwaab ki ta'beer dekh kar
ishq-o-wafaa khuloos se anjaan hain vo log
rishta nibha rahe hain jo jaageer dekh kar
pal mein badalte waqt ne manzar badal diya
dil ro raha tha kal mera kashmir dekh kar
tum ho hamaare haal-e-pareshaan se be-khabar
ham jee rahe hain aaj bhi tasveer dekh kar
गर्दन में तौक़ पाँव में ज़ंजीर देख कर
हैरत हुई है दोस्त की तस्वीर देख कर
कल रात हम ने ख़ूब सितारों की सैर की
कोई बताए ख़्वाब की ता'बीर देख कर
इश्क़-ओ-वफ़ा ख़ुलूस से अंजान हैं वो लोग
रिश्ता निभा रहे हैं जो जागीर देख कर
पल में बदलते वक़्त ने मंज़र बदल दिया
दिल रो रहा था कल मिरा कश्मीर देख कर
तुम हो हमारे हाल-ए-परेशाँ से बे-ख़बर
हम जी रहे हैं आज भी तस्वीर देख कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ujjawal Vashishtha
our suggestion based on Ujjawal Vashishtha
As you were reading Waqt Shayari Shayari