tiri khidmaat mein baithe hue hain
ki sab auqaat mein baithe hue hain
chhupaana chahte hain apne aansu
so ham barsaat mein baithe hue hain
bahut dushwaar hai ghar se nikalna
adoo sab ghaat mein baithe hue hain
hamaare naam mein jitne hain akshar
tiri har baat mein baithe hue hain
parindon ghonslon mein rahna apne
shikaari ghaat mein baithe hue hain
hamaare peeche chalte the kabhi jo
ab un ke saath mein baithe hue hain
talaash-e-aftaab-e-ishq mein sab
andheri raat mein baithe hue hain
तिरी ख़िदमात में बैठे हुए हैं
कि सब औक़ात में बैठे हुए हैं
छुपाना चाहते हैं अपने आँसू
सो हम बरसात में बैठे हुए हैं
बहुत दुश्वार है घर से निकलना
अदू सब घात में बैठे हुए हैं
हमारे नाम में जितने हैं अक्षर
तिरी हर बात में बैठे हुए हैं
परिंदों घोंसलों में रहना अपने
शिकारी घात में बैठे हुए हैं
हमारे पीछे चलते थे कभी जो
अब उन के साथ में बैठे हुए हैं
तलाश-ए-आफ़्ताब-ए-इश्क़ में सब
अँधेरी रात में बैठे हुए हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ujjawal Vashishtha
our suggestion based on Ujjawal Vashishtha
As you were reading Raat Shayari Shayari