har ik hazaar mein bas paanch saath hain ham log | हर इक हज़ार में बस पाँच सात हैं हम लोग

  - Umair Najmi

har ik hazaar mein bas paanch saath hain ham log
nisaab-e-ishq pe waajib zakaat hain ham log

dabao mein bhi jamaat kabhi nahin badli
shuruat din se mohabbat ke saath hain ham log

jo seekhni ho zabaan-e-sukoot bismillah
khamoshiyon ki mukammal lughat hain ham log

kahaaniyon ke vo kirdaar jo likhe na gaye
khabar se hazf-shuda waqi'at hain ham log

ye intizaar hamein dekh kar banaya gaya
zuhoor-e-hijr se pehle ki baat hain ham log

kisi ko raasta de den kisi ko paani na den
kahi pe neel kahi par furaat hain ham log

hamein jala ke koi shab guzaar saka hai
sadak pe bikhre hue kaagazaat hain ham log

हर इक हज़ार में बस पाँच सात हैं हम लोग
निसाब-ए-इश्क़ पे वाजिब ज़कात हैं हम लोग

दबाओ में भी जमाअत कभी नहीं बदली
शुरूअ' दिन से मोहब्बत के साथ हैं हम लोग

जो सीखनी हो ज़बान-ए-सुकूत बिस्मिल्लाह
ख़मोशियों की मुकम्मल लुग़ात हैं हम लोग

कहानियों के वो किरदार जो लिखे न गए
ख़बर से हज़्फ़-शुदा वाक़िआ'त हैं हम लोग

ये इंतिज़ार हमें देख कर बनाया गया
ज़ुहूर-ए-हिज्र से पहले की बात हैं हम लोग

किसी को रास्ता दे दें किसी को पानी न दें
कहीं पे नील कहीं पर फ़ुरात हैं हम लोग

हमें जला के कोई शब गुज़ार सकता है
सड़क पे बिखरे हुए काग़ज़ात हैं हम लोग

  - Umair Najmi

Mashwara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Umair Najmi

As you were reading Shayari by Umair Najmi

Similar Writers

our suggestion based on Umair Najmi

Similar Moods

As you were reading Mashwara Shayari Shayari