tum ko vehshat to seekha di guzaarein laayak | तुम को वेहशत तो सीखा दी गुजारें लायक - Umair Najmi

tum ko vehshat to seekha di guzaarein laayak
aur koi hukm koi kaam hamaare laayak

maazrat mein to kisi aur ke masraf mein hun
dhoondh deta hu magar koi tumhaare laayak

ek do zakhmon ki gehraai aur aankhon ke khandar
aur kuch khaas nahin mujh mein nazaare laayak

ghonsla chaav haraa rang samar kuch bhi nahi
dekh mujh jaise shajar hote hai aare laayak

is ilaaqe mein ujaalon ki jagah koi nahi
sirf parcham hai yahaan chaand sitaare laayak

mujh nikamme ko chuna us ne taras kha ke umer
dekhte rah gaye hasrat se bechaare laayak

तुम को वेहशत तो सीखा दी गुजारें लायक
और कोई हुक्म कोई काम हमारे लायक

माजरत में तो किसी और के मसरफ में हुं
ढूंढ देता हु मगर कोई तुम्हारे लायक

एक दो ज़ख्मों की गहराई और आंखों के खंडर
और कुछ खास नहीं मुझ में नज़ारे लायक

घोंसला छाव हरा रंग समर कुछ भी नही
देख मुझ जैसे शजर होते है आरे लायक

इस इलाक़े में उजालों की जगह कोई नही
सिर्फ परचम है यहां चांद सितारे लायक

मुझ निक्कमे को चुना उस ने तरस खा के उमेर
देखते रह गए हसरत से बेचारे लायक

- Umair Najmi
17 Likes

Chaand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Umair Najmi

As you were reading Shayari by Umair Najmi

Similar Writers

our suggestion based on Umair Najmi

Similar Moods

As you were reading Chaand Shayari Shayari