khel dono ka chale teen ka daana na pade | खेल दोनों का चले तीन का दाना न पड़े - Umair Najmi

khel dono ka chale teen ka daana na pade
seedhiyaan aati rahein saanp ka khaana na pade

dekh me'maar parinde bhi rahein ghar bhi bane
naqsha aisa ho koi ped girana na pade

mere honton pe kisi lams ki khwaahish hai shadeed
aisa kuch kar mujhe cigarette ko jalana na pade

is taalluq se nikalne ka koi raasta de
is pahaadi pe bhi baarood lagana na pade

nam ki tarseel se aankhon ki hararat kam ho
sard-khaanon mein koi khwaab puraana na pade

rabt ki khair hai bas teri ana bach jaaye
is tarah ja ki tujhe laut ke aana na pade

hijr aisa ho ki chehre pe nazar aa jaaye
zakham aisa ho ki dik jaaye dikhaana na pade

खेल दोनों का चले तीन का दाना न पड़े
सीढ़ियाँ आती रहें साँप का ख़ाना न पड़े

देख मे'मार परिंदे भी रहें घर भी बने
नक़्शा ऐसा हो कोई पेड़ गिराना न पड़े

मेरे होंटों पे किसी लम्स की ख़्वाहिश है शदीद
ऐसा कुछ कर मुझे सिगरेट को जलाना न पड़े

इस तअल्लुक़ से निकलने का कोई रास्ता दे
इस पहाड़ी पे भी बारूद लगाना न पड़े

नम की तर्सील से आँखों की हरारत कम हो
सर्द-ख़ानों में कोई ख़्वाब पुराना न पड़े

रब्त की ख़ैर है बस तेरी अना बच जाए
इस तरह जा कि तुझे लौट के आना न पड़े

हिज्र ऐसा हो कि चेहरे पे नज़र आ जाए
ज़ख़्म ऐसा हो कि दिख जाए दिखाना न पड़े

- Umair Najmi
11 Likes

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Umair Najmi

As you were reading Shayari by Umair Najmi

Similar Writers

our suggestion based on Umair Najmi

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari