zameen goongi ho rahi hai | ज़मीन गूँगी हो रही है

  - Unknown

zameen goongi ho rahi hai
parinde chup saadhe
ujadi shaakhon pe baithe nauha-kunaan hain
raat ke badan pe
neend ke pyaale aundhe pade bilak rahe hain
auraton ke rehm mein
zinda laashon ke galne-sadne se ta'ffun phail raha hai
khwaab bastiyaan ujad rahi hain
samundron ne dekha
maut daant nikosati dandanati phirti hai

budhiya khidki se jhaankte cheekhi
koi mazhab
use lagaam kyun nahin daalta
kaisi shutr-e-be-mahaar hui phirti hai
koi dua us ka gala kyun nahin ghontti
is manhoos ko taweez ghol kar pilao

darbaaron mein jhaadoo deti
bewaqoof budhiya
film ka wahi kirdaar hit hota hai
jis ne
rehearsal ki ho

khidki mein sannaata phail gaya
maut ne apna geet jaari rakha

ज़मीन गूँगी हो रही है
परिंदे चुप साधे
उजड़ी शाख़ों पे बैठे नौहा-कुनाँ हैं
रात के बदन पे
नींद के प्याले औंधे पड़े बिलक रहे हैं
औरतों के रहम में
ज़िंदा लाशों के गलने-सड़ने से तअ'फ़्फ़ुन फैल रहा है
ख़्वाब बस्तियाँ उजड़ रही हैं
समुंदरों ने देखा
मौत दाँत निकोसती दनदनाती फिरती है

बुढ़िया खिड़की से झाँकते चीख़ी
कोई मज़हब
उसे लगाम क्यों नहीं डालता
कैसी शुत्र-ए-बे-महार हुई फिरती है
कोई दुआ उस का गला क्यों नहीं घोंटती
इस मनहूस को तावीज़ घोल कर पिलाओ

दरबारों में झाड़ू देती
बेवक़ूफ़ बुढ़िया
फ़िल्म का वही किरदार हिट होता है
जिस ने
रीहरसल की हो

खिड़की में सन्नाटा फैल गया
मौत ने अपना गीत जारी रखा

  - Unknown

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Unknown

As you were reading Shayari by Unknown

Similar Writers

our suggestion based on Unknown

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari