bahaana kar ke vo bichhda tha mujh se
ya dooja waqai achha tha mujh se
use jab jab zamaana tang karta
vo usko chhod kar ladta tha mujh se
maheenon phool bhijwaane pade the
vo pehli baar jab rootha tha mujh se
bharosa phir kisi par ho na paaya
tumhaara aakhiri rishta tha mujh se
badi muddat mein phir se haath aaya
badi ujlat mein jo chhoota tha mujh se
bulandi par pahunch kar bhool baitha
jo akshar seedhiyaan leta tha mujh se
ab us ke bin bhi hans kar kat rahi hai
kabhi ik pal nahin katata tha mujh se
बहाना कर के वो बिछड़ा था मुझ से
या दूजा वाक़ई अच्छा था मुझ से
उसे जब जब ज़माना तंग करता
वो उसको छोड़ कर लड़ता था मुझ से
महीनों फूल भिजवाने पड़े थे
वो पहली बार जब रूठा था मुझ से
भरोसा फिर किसी पर हो न पाया
तुम्हारा आख़िरी रिश्ता था मुझ से
बड़ी मुद्दत में फिर से हाथ आया
बड़ी उजलत में जो छूटा था मुझ से
बुलंदी पर पहुच कर भूल बैठा
जो अक्सर सीढियाँ लेता था मुझ से
अब उस के बिन भी हँस कर कट रही है
कभी इक पल नहीं कटता था मुझ से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Varun Anand
our suggestion based on Varun Anand
As you were reading Rose Shayari Shayari